Ye lambi sadak aur hazaron chehre
khud se milne ke liye hazaron pehre
Uljhane isi tareh badhti rahin hain
main kuch pal theherna chahta hun
Aaj fir jab main piche mudun
tera daaman pakadna chahta hun
Apne lafzon se tujhe byaan kar sakun
"Ae maa"- main ek kavita likhna chahta hoon
Yaad hai mujhe , vo tumhara mujhe daantna
ghoor kar dekhna aur mera sehem jaana.
Apni marzi se kaise khilati thi,
Sahi kya hai aur galat kya
Tum kaise mujhe sikhati thi.
Aaj bada ho kar main apna raasta banata hun
Teri di hui seekh se aaj ye nagma sajata hun.
Par fir bhi tujhsa adig nahi hun
Ye satya hai apnata hoon.
Ae maa fir se aaj daant de mujhe
Main Ro kar, sehem kar tujhse lipat kar,
haar kar bhi jeetna chahta hoon.
"Tu" kitni soojh boojh vaali hai
"Ae maa" - main ek kavita likhna chahta hoon
Nanhe paanv mein jab chalte chalte
Thokar mujhe lag jaati thi
Chinti mar gayi keh kar hansati
Fir thik se chalna sikhati thi.
Yaad hai tumhara mujhe school chhodne jaana
Yun hi khelta chalta sadak par
Tum mera school bag uthati thi.
Lamba din yun hi jab beet tha jaata
Tum lene mujhe fir aati thi
Uthta hai mann mein prashan yahi
Kya tum bhi kabhi thak jaati thi ?
Kyunki jab bhi dekha is chehre ko
Tum yun hi sada muskurati thi.
Aaj is kashmkash se nikal kar
Sab gam bhulana chahta hoon
ek baar mujhe dekh kar muskura de ae maa
tere sang fir hasna chahta hoon
"Ae maa"- tu kitni dheeraj vaari hai
Main ek kavita likhna chahta hoon
Yaad hai aaj bhi har vo saanjh
Tum mujhe kahani sunati thi
Main anjaan bhala kya jaanu
Jeevan ke sach samjhati thi
Yun hi khel khel mein
sab kuch to sikha diya tumne
Maa kaise komal sparsh se sab kuch sikhati hai
main aaj ye kehna chahta hoon
Teri saralta byaan karne ko
Ae maa main ek kavita likhna chahta hoon
Yaad hai mujhe sone se pehle
Pyaar se chumti thi tum mujhe
Ek din kuch ban kar main dikhaun
Ye sapna apna sunati thi
Main jo hoon, jahan hoon,
Teri hi badolat
Par tumhari ungli ki aaj bhi jarurat hai mujhe
Kyuki tere har us sapne ko
Main "moti sa" sajana chahta hoon
"Ae maa" Tum kitni pyaari ho
Main ek kavita likhna chahta hoon
"Ae maa " tum sabse pyaari ho
Main kavita likhna chahta hoon....!!!!
khud se milne ke liye hazaron pehre
Uljhane isi tareh badhti rahin hain
main kuch pal theherna chahta hun
Aaj fir jab main piche mudun
tera daaman pakadna chahta hun
Apne lafzon se tujhe byaan kar sakun
"Ae maa"- main ek kavita likhna chahta hoon
Yaad hai mujhe , vo tumhara mujhe daantna
ghoor kar dekhna aur mera sehem jaana.
Apni marzi se kaise khilati thi,
Sahi kya hai aur galat kya
Tum kaise mujhe sikhati thi.
Aaj bada ho kar main apna raasta banata hun
Teri di hui seekh se aaj ye nagma sajata hun.
Par fir bhi tujhsa adig nahi hun
Ye satya hai apnata hoon.
Ae maa fir se aaj daant de mujhe
Main Ro kar, sehem kar tujhse lipat kar,
haar kar bhi jeetna chahta hoon.
"Tu" kitni soojh boojh vaali hai
"Ae maa" - main ek kavita likhna chahta hoon
Nanhe paanv mein jab chalte chalte
Thokar mujhe lag jaati thi
Chinti mar gayi keh kar hansati
Fir thik se chalna sikhati thi.
Yaad hai tumhara mujhe school chhodne jaana
Yun hi khelta chalta sadak par
Tum mera school bag uthati thi.
Lamba din yun hi jab beet tha jaata
Tum lene mujhe fir aati thi
Uthta hai mann mein prashan yahi
Kya tum bhi kabhi thak jaati thi ?
Kyunki jab bhi dekha is chehre ko
Tum yun hi sada muskurati thi.
Aaj is kashmkash se nikal kar
Sab gam bhulana chahta hoon
ek baar mujhe dekh kar muskura de ae maa
tere sang fir hasna chahta hoon
"Ae maa"- tu kitni dheeraj vaari hai
Main ek kavita likhna chahta hoon
Yaad hai aaj bhi har vo saanjh
Tum mujhe kahani sunati thi
Main anjaan bhala kya jaanu
Jeevan ke sach samjhati thi
Yun hi khel khel mein
sab kuch to sikha diya tumne
Maa kaise komal sparsh se sab kuch sikhati hai
main aaj ye kehna chahta hoon
Teri saralta byaan karne ko
Ae maa main ek kavita likhna chahta hoon
Yaad hai mujhe sone se pehle
Pyaar se chumti thi tum mujhe
Ek din kuch ban kar main dikhaun
Ye sapna apna sunati thi
Main jo hoon, jahan hoon,
Teri hi badolat
Par tumhari ungli ki aaj bhi jarurat hai mujhe
Kyuki tere har us sapne ko
Main "moti sa" sajana chahta hoon
"Ae maa" Tum kitni pyaari ho
Main ek kavita likhna chahta hoon
"Ae maa " tum sabse pyaari ho
Main kavita likhna chahta hoon....!!!!